aap jis se kalam karte hain
nind us ki haram karte hain
aastin mein chhupae hain KHanjar
munh se wo ram ram karte hain
ishq ka rog un ke bas ka nahin
dur se wo salam karte hain
dil se majbur tere diwane
ek jagah kab qayam karte hain
dast-o-bazu ke daur mein to 'rais'
kaam se log nam karte hain

Ghazal
Aap jis se kalam karte hain
Raees Narvi