aap izzat-maab sach-much ke 
log kam hain janab sach-much ke 
aap sab ko KHarab kahte hain 
log kuchh hain KHarab sach-much ke 
kuchh to parsang yaad aate hain 
the katha mein jo bab sach-much ke 
apni tabir pa rahe hain jo 
main ne dekhe hain KHwab sach-much ke 
kuchh nazar aa rahe hain mahfil mein 
dekh lo mahtab sach-much ke 
titliyan phir wahin pe utrengi 
khilne dijiye gulab sach-much ke 
pas jin ke nahin hai ek misra 
wo hain shaer janab sach-much ke
        Ghazal
Aap izzat-maab sach-much ke
Sajid Premi

