aap apna ru-e-zeba dekhiye
ya mujhe mahw-e-tamasha dekhiye
shauq ko hangama-ara dekhiye
karobar hasrat-afza dekhiye
rang-e-gulzar-e-tamanna dekhiye
dilkashi-ha-e-tamasha dekhiye
husn hai sau rang mein tahsin-talab
dida-e-hairan se kya kya dekhiye
bazm mein us be-murawwat ki mujhe
dekhna paDta hai kya kya dekhiye
hasrat aankhon mein hai lab KHamosh hain
shewa-e-arz-e-tamanna dekhiye
hae re zauq-e-tamasha-e-jamal
KHud tamasha hun tamasha dekhiye
aap ne phir kar na dekha is taraf
ho gaya KHun-e-tamanna dekhiye
uThti hain nazren meri kis shauq se
mujh ko hangam-e-tamasha dekhiye
hasraton ka hae re dil mein hujum
aarzuon ka natija dekhiye
sajde ko betab hoti hain jabin
shoKHi-e-naqsh-e-kaf-e-pa dekhiye
main hun us saqi ka diwana jise
dekhiye jab mast-e-sahba dekhiye
KHak mein kis din milati hai mujhe
us se milne ki tamanna dekhiye
kahte hain kar lenge us kafir ko ram
hazrat-e-'wahshat' ka dawa dekhiye
Ghazal
Aap apna ru-e-zeba dekhiye
Wahshat Raza Ali Kalkatvi