اردو हिंदी
Aap apna nishan nahin malum | Shaahi Shayari
aap apna nishan nahin malum

Ghazal

Aap apna nishan nahin malum

Yaqoob Ali Aasi

;

aap apna nishan nahin malum
luT gae hum kahan nahin malum

le chala hai junun-e-shauq kidhar
hogi manzil kahan nahin malum

dauDta hun ghubar ke pichhe
hai kahan karwan nahin malum

jhuk gaya sar-basad KHulus-o-niyaz
kis ka hai aastan nahin malum

ek halchal hai KHana-e-dil mein
kaun hai mehman nahin malum

barq chamki thi ek bar yahan
kya hua aashiyan nahin malum

jaane kis ke KHayal mein 'asi'
ho gae gum kahan nahin malum