aap aae the yan jafa ke liye
jaiye bhi kahin KHuda ke liye
dil diya tha tumhein jafa ke liye
hosh mein aaiye KHuda ke liye
tere bazar-e-dahr mein gardun
hum bhi aae hain ek qaba ke liye
panw hain kucha-e-tawakkal mein
hath uThte nahin dua ke liye
aa kabhi to mere qafas ki taraf
ai nasim-e-chaman KHuda ke liye
hai tah-e-KHak farsh-e-KHak laga
shah ke waste gada ke liye
dam phaDakta hai tauf-e-kaba par
dil taDapta hai karbala ke liye
sar uThae hain KHar-e-dasht-o-junun
'muntahi' se barhana-pa ke liye

Ghazal
Aap aae the yan jafa ke liye
Mirza Maseeta Beg Muntahi