aankhon se kisi KHwab ko bahar nahin dekha
phir ishq ne aisa koi manzar nahin dekha
ye shahr-e-sadaqat hai qadam soch ke rakhna
shane pe kisi ke bhi yahan sar nahin dekha
hum umr basar karte rahe 'mir' ki manind
khiDki ko kabhi khol ke bahar nahin dekha
wo ishq ko kis tarah samajh paega jis ne
sahra se gale milte samundar nahin dekha
hum apni ghazal ko hi sajate rahe 'rahat'
aaina kabhi hum ne sanwar kar nahin dekha
Ghazal
Aankhon se kisi KHwab ko bahar nahin dekha
Humaira Rahat