aankhon mein kisi yaad ka ras ghol rahi hun
uljhe hue pallu se girah khol rahi hun
wo aae KHaride mujhe pinjre mein biTha de
main bagh mein mina ki tarah bol rahi hun
har bar hua hai mere nuqsan ka sauda
kahne ko hamesha se main anmol rahi hun

Ghazal
Aankhon mein kisi yaad ka ras ghol rahi hun
Rehana Qamar