aankhon mein bas raha hai ada ke baghair bhi
dil us ko sun raha hai sada ke baghair bhi
khilte hain chand phul bayaban mein be-sabab
girte hain kuchh daraKHt hawa ke baghair bhi
main hun wo shah-baKHt ki darbar-e-husn mein
chalta hai apna kaam wafa ke baghair bhi
munsif ko sab KHabar hai magar bolta nahin
mujh par hua jo zulm saza ke baghair bhi
bandon ne jab se kaam sambhaala hai dahr ka
nazil hai roz qahr KHuda ke baghair bhi
urdu ghazal ke dam se wo tahzib bach gai
miTne ka jis ke gul tha fana ke baghair bhi
Ghazal
Aankhon mein bas raha hai ada ke baghair bhi
Hasan Nayeem