aankhon ke samne koi manzar naya na tha
bas wo zara sa fasla baqi raha na tha
ab is safar ka silsila shayad hi KHatm ho
sab apni apni rah len hum ne kaha na tha
darwaze aaj band samajhiye suluk ke
ye chalne wala dur talak silsila na tha
unchi uDan ke liye par taulte the hum
unchaiyon pe sans ghuTegi pata na tha
koshish hazar karti rahen tez aandhiyan
lekin wo ek patta abhi tak hila na tha
sab hi shikar-gah mein the KHema-zan magar
koi shikar karne ko ab tak uTha na tha
achchha hua ki gosha-nashini ki iKHtiyar
'ashufta' aur is ke siwa rasta na tha
Ghazal
Aankhon ke samne koi manzar naya na tha
Aashufta Changezi