اردو हिंदी
Aankhon ke KHwab dil ki jawani bhi le gaya | Shaahi Shayari
aankhon ke KHwab dil ki jawani bhi le gaya

Ghazal

Aankhon ke KHwab dil ki jawani bhi le gaya

Faza Ibn e Faizi

;

aankhon ke KHwab dil ki jawani bhi le gaya
wo apne sath meri kahani bhi le gaya

KHam-cham tamam apna bas ek us ke dam se tha
wo kya gaya ki aag bhi pani bhi le gaya

TuTa talluqat ka aaina is tarah
aks-e-nashat-e-lamaha-e-fani bhi le gaya

kuche mein hijraton ke hun sab se alag-thalag
bichhDa wo yun ki rabt-e-makani bhi le gaya

the sab usi ke lams se jal-thal bane hue
dariya muDa to apni rawani bhi le gaya

ab kya khulegi munjamid alfaz ki girah
wo himmat-e-kashud-e-maani bhi le gaya

sar-joshi-e-qalam ko 'faza' chup si lag gai
wo jate jate shola-bayani bhi le gaya