aankhon ke aainon mein tawanai aaegi
dekhega sabz khet to binai aaegi
paega KHushbuon se zaminon ke bhed bhi
ek roz tere kaam shanasai aaegi
peDon ki chhanw chhoD kisi aab-e-ju pe baiTh
tujh mein nahin to aks mein ranai aaegi
duniya ki sair kar ke nikhar jaega KHayal
taza hawa lagegi to danai aaegi
har naqsh aab-o-KHak ka dil mein utar le
fankar hai to taqat-e-goyai aaegi
shair ki tarah Dol raha hai KHalaon mein
logon mein baiTh anjuman-arai aaegi
andhon ke is nagar mein diye ki misal ban
sahra mein gul khulega to yaktai aaegi
shaffaf paniyon ki tarah zindagi guzar
suraj ki tarah tujh mein tawanai aaegi
ghar mein diya jala ki lage bolta hua
diwar-o-dar pe zinat-o-zebai aaegi
saya bhi tera tujh ko kahin chhoD jaega
aai bhi tere kaam to tanhai aaegi
garmi bahut hai aaj khula rakh makan ko
us ki gali se raat ko purwai aaegi
kafi hai jo ghazal ke liye kah liya 'KHalil'
aage qadam rakhega to gahrai aaegi
Ghazal
Aankhon ke aainon mein tawanai aaegi
Khaleel Rampuri