اردو हिंदी
Aankhen khulin ki wa dar-e-zindan ho gaya | Shaahi Shayari
aankhen khulin ki wa dar-e-zindan ho gaya

Ghazal

Aankhen khulin ki wa dar-e-zindan ho gaya

Mohsin Changezi

;

aankhen khulin ki wa dar-e-zindan ho gaya
main raushni ko dekh ke hairan ho gaya

tujh se mushabahat nahin rakhta koi yahan
ab tujh ko bhulna bhi to aasan ho gaya

us ne kaha ki phul se titli uDaiye
itni si baat par main pareshan ho gaya

main KHud se mil gaya tha teri bazyaft mein
kya mujh pe tere hijr ka ehsan ho gaya

mere tamam KHwab mere dil mein rah gae
meri to sari umr ka nuqsan ho gaya