اردو हिंदी
Aankh mein kitne tilismat-e-jahan paoge | Shaahi Shayari
aankh mein kitne tilismat-e-jahan paoge

Ghazal

Aankh mein kitne tilismat-e-jahan paoge

Javed Shaheen

;

aankh mein kitne tilismat-e-jahan paoge
KHun rangin hai to sau rang yahan paoge

ho faraghat to zara jhaDu KHayalon ke shajar
shaKH-saron pe bahut barg-e-KHizan paoge

yun sambhaale na phiro dil mein shikasta shishe
kirchiyan bikhrin to rag rag mein rawan paoge

mauj-e-reg-e-daraKHshan ke taaqub mein raho
in sarabon hain mein pani ka nishan paoge

ye KHaraba hi sahi is se na bahar niklo
chhoD kar dil ko kahin phir na aman paoge

rishta-e-tar-e-nazar se hai ujalon ka bharam
aankh jhapki to koi aur saman paoge

sans uljhi hui aati hai to hai kis ki KHata
aag andar hai to andar hi dhuan paoge

kis qadar shor hai logon se bhari galiyon mein
ghaur se dekho bahut KHali makan paoge

dasht-e-dil hi se koi chashma nikalo 'shahin'
KHushk-sali mein yahan pani kahan paoge