aankh ke sahil par aate hi ashk hamare Dub gae
gham ka sawan itna barsa sare sahaare Dub gae
is ko khel kahen qismat ka ya hum dariya ki sazish
tufanon se bach nikle to aa ke kinare Dub gae
jazba-e-mohabbat ye to bata kab aaega aane wala
raat simaTti jati hai aur chand sitare Dub gae
nil-gagan par uDte panchhi lauT ke aa ja ghar apne
raat ka aanchal lahraya hai din ke nazare Dub gae
dariya ke wo par hue hain chahat se jo dur rahe
pyar ki kashti khene wale sab bechaare Dub gae
un par kuchh paigham likhe the jo tujh se wabasta the
uDte uDte dur ufuq mein jo ghubbare Dub gae
us ne to hum ko hi 'ziya' dariya mein Dubona chaha tha
lekin the jo sath hamare wo bhi sare Dub gae
Ghazal
Aankh ke sahil par aate hi ashk hamare Dub gae
Sayed Zia Alvi