aankh hi aankh thi manzar bhi nahin tha koi
tu nahin tere barabar bhi nahin tha koi
mere bahar to kisi maut ka sannaTa tha
aisi tanhai ki andar bhi nahin tha koi
kya tamasha hai ki phir jism mera bhig gaya
raste mein to samundar bhi nahin tha koi
Ghazal
Aankh hi aankh thi manzar bhi nahin tha koi
Sarfraz Khalid