اردو हिंदी
Aane-jaane ka hai ye rasta kyun | Shaahi Shayari
aane-jaane ka hai ye rasta kyun

Ghazal

Aane-jaane ka hai ye rasta kyun

Shah Husain Nahri

;

aane-jaane ka hai ye rasta kyun
hai bichhaDna agar to milna kyun

hath aaya to phir parinda kya
aur uDa jo kahin to mera kyun

kis farishte ki baat karte ho
jab bura hi nahin wo achchha kyun

ho ke naraaz mujh se kahte hain
zulmaton ke liye ho KHatra kyun

kyun nahin dekhta hawa ka ruKH
'shah' banta hai phir nishana kyun