aandhe moD ko jo bhi kaTe aahista guzre
cyclen Takra jati hain akasr motor se
andhiyare mein hanste rote kale git sune
jo suraj ke aage aae wo aaKHir chamke
din ke waraq par insan kya the aaDe-tirchhe lafz
raat hui to dekh raha hun kaghaz par nuqte
main bikhre lamhe ka moti sadiyon se marbut
mere jism se ho kar guzre barson ke dhage
'majid' ki do ghazlen bhi bhaari hain do sau par
sari ghazlon ko ab koi chhape na chhape

Ghazal
Aandhe moD ko jo bhi kaTe aahista guzre
Majid-ul-Baqri