aan pahunche hain ye kahan hum log
ab zamin hain na aasman hum log
kal yaqin banTte the auron mein
ab hain KHud se bhi bad-guman hum log
kin hawaon ki zad mein aae hain
ho gae hain dhuan dhuan hum log
chup to pahle bhi jhelte the magar
is qadar kab the be-zaban hum log
kab mayassar koi kinara ho
kab sameTenge baadban hum log
ban gae rakh ab na-jaane kyun
the kabhi shoala-e-tapan hum log
hum ko jaana tha kis taraf 'razmi'!
aur kis samt hain rawan hum log
Ghazal
Aan pahunche hain ye kahan hum log
Khadim Razmi