aaKHir ye husn chhup na sakega naqab mein
sharmaoge tumhin na karo zid hijab mein
pamal shoKHiyon mein karo tum zamin ko
Dalun falak pe zalzale mein iztirab mein
raushan hai aaftab ki nisbat charagh se
nisbat wahi hai aap mein aur aaftab mein
dil ki girah na wa hui dard-e-shab-e-visal
guzri tamam bast-o-kushad-e-naqab mein
jaan main ne nama-bar ke qadam par nisar ki
tha pesh-e-pa fatada ye mazmun jawab mein
hans hans ke barq ko to zara kije be-qarar
ro ro ke abr ko main Dubota hun aab mein
waiz se Dar gae ki na shamil hue hum aaj
tartib-e-mahfil-e-mai-o-chag-o-rabab mein
saqi idhar to dekh ki hum dair-e-mast hain
kuchh masti-e-nigah bhi mila de sharab mein
daKHil na dushmanon mein na ahbab mein shumar
madd-e-fuzul hun main tumhaare hisab mein
kis kis ke jaur uThaenge aage ko dekhiye
dushman hai charKH-e-pir zaman-e-shabab mein
paighambar ishaara-e-abru se mar gaya
phir ji uThega lab bhi hila do jawab mein
Ghazal
AaKHir ye husn chhup na sakega naqab mein
Ismail Merathi