aaj ro kar to dikhae koi aisa rona
yaad kar ai dil-e-KHamosh wo apna rona
raqs karna kabhi KHwabon ke shabistanon mein
kabhi yaadon ke sutunon se lipaTna rona
tujh se sikhe koi rone ka saliqa ai abr
kahin qatra na girana kahin dariya rona
rasm-e-duniya bhi wahi rah-e-tamanna bhi wahi
wahi mil baiTh ke hansna wahi tanha rona
ye tera taur samajh mein nahin aaya 'mushtaq'
kabhi hanste chale jaana kabhi itna rona
Ghazal
Aaj ro kar to dikhae koi aisa rona
Ahmad Mushtaq