aaj mujhe kuchh log mile hain pagal se
shahr mein wahshi dar aae kya jangal se
sare masail la-yanhal se lagte hain
niklun kaise soch ki gahri daldal se
barf-numa si taron ki chanchal kirnen
chhan kar niklen raat ke kale aanchal se
zehn se yun hai fikr-o-nazar ka ab rishta
panghaT ko ek rabt ho jaise chhagal se
yaad ki KHushbu dil ke nagar mein phailegi
gham ke sae lagte hain ab shital se
jism-o-jaan par sannaTon ka pahra ho
baz aaya main ab duniya ki halchal se
tanhai ka zahr bhala kya phailega
chhae ho tum ehsas pe mere baadal se
Ghazal
Aaj mujhe kuchh log mile hain pagal se
Anwar Minai