aaj mai-KHane mein barkat hi sahi
mai-kasho aao ibaadat hi sahi
chahiye kuchh to pa-e-nazr-e-karam
ai gunahgar nadamat hi sahi
mani-e-husn samajh lenge kabhi
abhi mahwiyyat-e-surat hi sahi
zindagi maut se behtar hai zarur
hai musibat to musibat hi sahi
na sahi bar-taraf ai husn abhi
chaar din ki hamein ruKHsat hi sahi
hai hamein apni mohabbat se gharaz
un ko nafrat hai to nafrat hi sahi
zindagi kaT to rahi hai 'natiq'
KHair ghurbat hai to ghurbat hi sahi
Ghazal
Aaj mai-KHane mein barkat hi sahi
Natiq Gulavthi