aaj hai dahr mein kya ek nai aafat ke siwa
bughz-o-nafrat ke siwa ranj-o-musibat ke siwa
is tarah chhaya hua hai nigah-o-dil pe tilism
jaise har chiz haqiqat ho haqiqat ke siwa
apne har jabr ko wo mehr-o-wafa kahte hain
hum bhi kuchh nam na den us ko mohabbat ke siwa
hasti-e-ishq ko ab tak na koi jaan saka
warna hai dahr mein kya aur mohabbat ke siwa
har-nafas ek nae tufan ki yurish hai 'hayat'
kis ko ilzam den is daur mein qismat ke siwa

Ghazal
Aaj hai dahr mein kya ek nai aafat ke siwa
Masooda Hayat