اردو हिंदी
Aaine tujh pe hi saiqal nahin arzani ka | Shaahi Shayari
aaine tujh pe hi saiqal nahin arzani ka

Ghazal

Aaine tujh pe hi saiqal nahin arzani ka

Khumar Qureshi

;

aaine tujh pe hi saiqal nahin arzani ka
marhala sirf bacha hai meri hairani ka

tujh se mil aae bahut pech bahut tab ke baad
qarz utra hi nahin dil ki pashemani ka

chahe jis bab se tu mujh ko rihai de de
mujh pe mushkil nahin rasta teri aasani ka

bujh ke rahna kabhi be-saKHta jalna kya hai
KHub andaz hai jaanan teri mehmani ka

ye kitabon ye risalon ka safar kuchh bhi nahin
istiara hi bahut hai teri peshani ka

lamp bujhte hi sirhane ka pari aati hai
raat-bhar phir wahi mausam tere zindani ka