aaine ke ru-ba-ru ek aaina rakhta hun main
raat-din hairat mein KHud ko mubtala rakhta hun main
doston wali bhi ek KHubi hai un mein is liye
dushmanon se bhi musalsal rabta rakhta hun main
roz-o-shab main ghumta hun waqt ki pur-kar par
apne chaaron samt koi daera rakhta hun main
khaTkhaTane ki bhi zahmat koi aaKHir kyun kare
is liye bhi ghar ka darwaza khula rakhta hun main
aaj-kal KHud se bhi hai ranjish ka koi silsila
aaj-kal KHud se bhi thoDa fasla rakhta hun main
chand yaaden ek chehra ek KHwahish ek KHwab
apne dil mein aur kya un ke siwa rakhta hun main
chand taswiren kitaben KHushbuen aur ek phul
apni almari mein 'tabish' aur kya rakhta hun main
Ghazal
Aaine ke ru-ba-ru ek aaina rakhta hun main
Tousief Tabish