aaina-asa ye KHwab-e-nilamin rakkhunga main
aur us ujle sitare par yaqin rakkhunga main
umr bhar KHush aaegi kya meri tanhai mujhe
rabta har chand logon se nahin rakkhunga main
shahr hi aisa andhera hai ki ek din bhul kar
taqche mein phir charagh-e-awwalin rakkhunga main
ras aati hi nahin jab pyar ki shiddat mujhe
ek kami apni mohabbat mein kahin rakkhunga main
ek saya sa guzar jaega mauj-e-nur se
jab ujale mein wo shaKH-e-yasmin rakkhunga main
han yahi miTTi wirasat hai mere ajdad ki
lauT kar apni kamai bhi yahin rakkhunga main
Ghazal
Aaina-asa ye KHwab-e-nilamin rakkhunga main
Ghulam Husain Sajid