aaina sa andheri raat ka main
KHwab hun KHwahish-e-nashat ka main
KHauf ek TuTti qanat ka main
ya tazabzub hisar-e-zat ka main
chaal se kis ki piT gaya hun main
jaane mohra hun kis bisat ka main
main hun apne hunar pe warafta
ya hun qatil teri sifat ka main
Dubti aankh mein tasawwur sa
dhup mein rang-e-be-hayat ka main
be-sabaati ki dhund mein lipTa
rasta hun tere sabaat ka main
zindagi karbala ka ek lamha
aur pyasa lab-e-furaat ka main

Ghazal
Aaina sa andheri raat ka main
Noman Imam