اردو हिंदी
Aaina ki be-riya tasrih le kar kya karen | Shaahi Shayari
aaina ki be-riya tasrih le kar kya karen

Ghazal

Aaina ki be-riya tasrih le kar kya karen

Jameeluddin Qadri

;

aaina ki be-riya tasrih le kar kya karen
aap apne daur ki talmih le kar kya karen

bahari duniya ko danon mein phirana KHub hai
mimbar-o-mehrab mein tasbih le kar kya karen

ku-ba-ku khulte nahin nikhri hui ghazlon ke bagh
imtizaj-e-fursat-e-tafrih le kar kya karen

is munafiq daur ne jina hamein sikhla diya
ab zamir-e-KHufta ki tauzih le kar kya karen

aalam-e-hairat mein goya hain 'jamiluddin' aap
aap ke ashaar ki tashrih le kar kya karen