aain-e-wafa itna bhi sada nahin hota
har bar masarrat ka iada nahin hota
ye kaisi sadaqat hai ki pardon mein chhupi hai
iKHlas ka to koi labaada nahin hota
jangal ho ki sahra kahin rukna hi paDega
ab mujh se safar aur ziyaada nahin hota
ek aanch ki pahle bhi kasar rahti rahi hai
kyun satwan dar mujh pe kushada nahin hota
sach baat mere munh se nikal jati hai aksar
har-chand mera aisa irada nahin hota
ai harf-e-sana sehr-e-musallam tera tujh se
baDh kar to koi saghar-e-baada nahin hota
afsana-e-afsun-e-jawani ke alawa
kis baat ka duniya mein iada nahin hota
suraj ki rifaqat mein chamak uThta hai chehra
'shabnam' ki tarah se koi sada nahin hota
Ghazal
Aain-e-wafa itna bhi sada nahin hota
Shabnam Shakeel