aai sahar qarib to main ne paDhi ghazal
jaane lage sitaron ke bajte hue kanwal
be-tab hai junun ki ghazal-KHwaniyan karun
KHamosh hai KHirad ki nahin baat ka mahal
kaise diye jalae gham-e-rozgar ne
kuchh aur jagmagae gham-e-yar ke mahal
ab tark-e-dosti hi taqaza hai waqt ka
ai yar-e-chaara-saz meri aag mein na jal
ai iltifat-e-yar mujhe sochne to de
marne ka hai maqam ya jine ka hai mahal
hum rind KHak-o-KHun mein aTe hath bhi kaTe
nikle na ai bahaar tere gesuon ke bal
Ghazal
Aai sahar qarib to maine paDhi ghazal
Syed Aabid Ali Aabid