اردو हिंदी
Aah ko samjhe ho kya dil se agar ho jaegi | Shaahi Shayari
aah ko samjhe ho kya dil se agar ho jaegi

Ghazal

Aah ko samjhe ho kya dil se agar ho jaegi

Qamar Jalalvi

;

aah ko samjhe ho kya dil se agar ho jaegi
wo to wo un ke farishton ko KHabar ho jaegi

puri kya musa tamanna tur par ho jaegi
tum agar upar gae nichi nazar ho jaegi

kya in aahon se shab-e-gham muKHtasar ho jaegi
ye sahar hone ki baaten hain sahar ho jaegi

aa to jaenge wo meri aah-e-pur-tasir se
mahfil-e-dushman mein ruswai magar ho jaegi

kis se puchhenge wo mere raat ke marne ka haal
tu bhi ab KHamosh ai sham-e-sahar ho jaegi

ye bahut achchha hua aaenge wo pichhle pahar
chandni bhi KHatm jab tak ai 'qamar' ho jaegi