aag ko phul kahe jaen KHirad-mand apne
aur aankhon pe rakhen did ke dar band apne
lakh chaha ki gham-o-fikr-e-jahan se chhuTen
jama-e-dil pe ye sajte rahe paiwand apne
shahr mein dhum machati rahi kya taza hawa
hum ne dar wa na kiya hum hain gila-mand apne
sath-e-qirtas pe utre na teri gul-badani
kitne aajiz hue jate hain hunar-mand apne
marhala tai na hua ahl-e-tazabzub se koi
jurm-e-tashkik se baiThe rahe paband apne
aisa kuchh gardish-e-dauran ne rakha hai masruf
majare ho na sake hum se qalam-band apne
hum to mar jate gham-e-hijr ke hathon 'shahid'
dasht aafaq mein hote na agar chand apne
Ghazal
Aag ko phul kahe jaen KHird-mand apne
Siddiq Shahid