اردو हिंदी
Aag jo bahar hai pahunchegi andar bhi | Shaahi Shayari
aag jo bahar hai pahunchegi andar bhi

Ghazal

Aag jo bahar hai pahunchegi andar bhi

Hakeem Manzoor

;

aag jo bahar hai pahunchegi andar bhi
sae jal jaenge aur phir paikar bhi

teri aankhon mein aansu bhi dekhe hain
tere hathon mein dekha hai KHanjar bhi

parakh hai to mujh ko parakh hushyari se
main ek gauhar bhi hun main ek patthar bhi

KHwabon mein bhi rahta hun bechain bahut
chain nahin milta hai mujh ko so kar bhi

kab tak jang laDega tere suraj se
sukhega ek din aaKHir ye sagar bhi

shafaq-e-sham ka din bhar tha arman mujhe
KHun-aluda nikla hai ye manzar bhi

phul ki pati bhi hai bar mujhe 'manzur'
dekhoge to lagta hun ek patthar bhi