aaen wo lakh dekhne walon ke samne
uThti hai aankh mahr-jamalon ke samne
mumkin nahin jawab teri chashm-e-mast ka
ye faisla hua hai ghazalon ke samne
tanha na ek hazrat-e-musa ko ghash hua
Thahra hai kaun barq-jamalon ke samne
ho jae husn ko na kisi ki nazar kahin
achchhe nahin hain dekhne walon ke samne
duniya mein nek-o-bad to koi chiz hi nahin
hona hai sab ko apne KHayalon ke samne

Ghazal
Aaen wo lakh dekhne walon ke samne
Sahir Siyalkoti