aadmi chaunk chuka hai magar uTTha to nahin
main jise DhunDh raha hun ye wo duniya to nahin
ruh ko dard mila dard ko aankhen na milin
tujh ko mahsus kiya hai tujhe dekha to nahin
rang si shakl mili hai tujhe KHushbu sa mizaj
lala-o-gul kahin tera hi sarapa to nahin
chehra dekhun to KHad-o-KHal badal jate hi
chhup ke aaine ke pichhe koi baiTha to nahin
phenk kar mar zamin par na zamane mujh ko
TuT hi jaunga jaise main khilauna to nahin
zindagi tujh se har ek sans pe samjhauta karun
shauq jine ka hai mujh ko magar itna to nahin
meri aankhon mein tere naqsh-e-qadam kaise hain
is sarae mein musafir koi Thahra to nahin
sochte sochte dil Dubne lagta hai mera
zehan ki tah mein 'muzaffar' koi dariya to nahin
Ghazal
Aadmi chaunk chuka hai magar uTTha to nahin
Muzaffar Warsi