aa rahi thi band kaliyon ke chaTakne ki sada
main sarapa gosh ho kar raat bhar sunta raha
bah gaya zulmat ke sailab mein aiwan-e-sang
dhup jab nikli tamazat se samundar jal uTha
jab rag-o-pai mein sarayat kar raha tha zahr-e-habs
rauzan-e-diwar se mujh par hansi ThanDi hawa
sabz kheton se koi sahra mein le jae mujhe
main hare suraj ki tabani se andha ho gaya
ban gai zanjir KHushbu-dar miTTi ki kashish
main zamin se jab KHalaon ki taraf jaane laga

Ghazal
Aa rahi thi band kaliyon ke chaTakne ki sada
Siddique Afghani