aa ke bazm-e-hasti mein kya bataen kya paya
hum ko tha hi kya lena but mile KHuda paya
hai maraz to jo kuchh hai thi dawa to jaisi thi
chaarasaz ko hum ne han ghaTa hua paya
dusron ko kya kahiye dusri hai duniya hi
ek ek apne ko hum ne dusra paya
kam samajh mein aate hain ab to us ke gul-buTe
hum ne naqsh-e-hasti ko kuchh miTa miTa paya
baiTh kar to 'natiq' se baat ki nahin hum ne
rah chalte dekha tha kuchh chala hua paya
Ghazal
Aa ke bazm-e-hasti mein kya bataen kya paya
Natiq Gulavthi