aa gaya jab se nazar wo shoKH harjai mujhe
ku-ba-ku dar dar liye phirti hai ruswai mujhe
kaam aashiq ko kisi ki aib-bini se nahin
husn-bini ko KHuda ne di hai binai mujhe
jaur sahta hun buton ke na-tawani ke sabab
dil uTha lun is qadar kab hai tawanai mujhe
jis tarah aata hai piri mein jawani ka KHayal
wasl ki shab yaad roz-e-hijr mein aai mujhe
ginti ek ek nam ki har gor mein murde hain dafn
baad-e-murdan bhi hui dushwar tanhai mujhe
misl-e-saghar bazm-e-alam mein main kab KHandan hua
kis liye deta hai gardish charKH-e-minai mujhe
ain danai hai 'nasiKH' ishq mein diwangi
aap saudai hain jo kahte hain saudai mujhe
Ghazal
Aa gaya jab se nazar wo shoKH harjai mujhe
Imam Bakhsh Nasikh