sada aish dauran dikhata nahin
gaya waqt phir hath aata nahin
Meer Hasan
dilli mein aaj bhik bhi milti nahin unhen
tha kal talak dimagh jinhen taj-o-taKHt ka
Mir Taqi Mir
jaise do mulkon ko ek sarhad alag karti hui
waqt ne KHat aisa khincha mere us ke darmiyan
Mohsin Zaidi
waqt kis tezi se guzra roz-marra mein 'munir'
aaj kal hota gaya aur din hawa hote gae
Muneer Niyazi
waqt achchha bhi aaega 'nasir'
gham na kar zindagi paDi hai abhi
Nasir Kazmi
sab kuchh to hai kya DhunDti rahti hain nigahen
kya baat hai main waqt pe ghar kyun nahin jata
Nida Fazli
chehra o nam ek sath aaj na yaad aa sake
waqt ne kis shabih ko KHwab o KHayal kar diya
Parveen Shakir