agar fursat mile pani ki tahriron ko paDh lena
har ek dariya hazaron sal ka afsana likhta hai
Bashir Badr
wo the jawab ke sahil pe muntazir lekin
samay ki naw mein mera sawal Dub gaya
Bekal Utsahi
allah tere hath hai ab aabru-e-shauq
dam ghuT raha hai waqt ki raftar dekh ka
Bismil Azimabadi
waqt barbaad karne walon ko
waqt barbaad kar ke chhoDega
Divakar Rahi
waqt ko bas guzar lena hi
dosto koi zindagani hai
Divakar Rahi
na ibtida ki KHabar hai na intiha malum
raha ye wahm ki hum hain so wo bhi kya malum
Fani Badayuni
koi Thaharta nahin yun to waqt ke aage
magar wo zaKHm ki jis ka nishan nahin jata
Farrukh Jafari