aur kya chahti hai gardish-e-ayyam ki hum
apna ghar bhul gae un ki gali bhul gae
Jaun Eliya
ye na-guzir hai ummid ki numu ke liye
guzarta waqt kahin tham gaya to kya hoga?
Jawad Sheikh
ya wo the KHafa hum se ya hum hain KHafa un se
kal un ka zamana tha aaj apna zamana hai
Jigar Moradabadi
waqt pujega hamein waqt hamein DhunDega
aur tum waqt ke ham-rah chaloge yaro
Khaleeq Qureshi
tu mujhe bante bigaDte hue ab ghaur se dekh
waqt kal chaak pe rahne de na rahne de mujhe
Khursheed Rizvi
hamein har waqt ye ehsas daman-gir rahta hai
paDe hain Dher sare kaam aur mohlat zara si hai
Khurshid Talab
waqt ki gardishon ka gham na karo
hausle mushkilon mein palte hain
Mahfuzur Rahman Adil