KHwab, ummid, tamannaen, talluq, rishte
jaan le lete hain aaKHir ye sahaare sare
Imran-ul-haq Chauhan
itne mayus to haalat nahin
log kis waste ghabrae hain
Jaan Nisar Akhtar
main ab kisi ki bhi ummid toD sakta hun
mujhe kisi pe bhi ab koi e'tibar nahin
Jawad Sheikh
saya hai kam khajur ke unche daraKHt ka
ummid bandhiye na baDe aadmi ke sath
Kaif Bhopali
puri hoti hain tasawwur mein umiden kya kya
dil mein sab kuchh hai magar pesh-e-nazar kuchh bhi nahin
Lala Madhav Ram Jauhar
kis se ummid karen koi elaj-e-dil ki
chaaragar bhi to bahut dard ka mara nikla
Lutf-ur-rahman
itna bhi na-umid dil-e-kam-nazar na ho
mumkin nahin ki sham-e-alam ki sahar na ho
disheartened or shortsighted O heart you need not be
this night of sorrow surely will a dawn tomorrow see
Naresh Kumar Shad