اردو हिंदी
Idhar ye haal ki chhune ka iKHtiyar nahin | Shaahi Shayari
idhar ye haal ki chhune ka iKHtiyar nahin

Ghazal

Idhar ye haal ki chhune ka iKHtiyar nahin

Jawad Sheikh

;

idhar ye haal ki chhune ka iKHtiyar nahin
udhar wo husn ki aankhon pe e'tibar nahin

main ab kisi ki bhi ummid toD sakta hun
mujhe kisi pe bhi ab koi e'tibar nahin

tum apni haalat-e-ghurbat ka gham manate ho
KHuda ka shukr karo mujh se be-dayar nahin

main sochta hun ki wo bhi dukhi na ho jae
ye dastan koi aisi KHush-gawar nahin

to kya yaqin dilane se man jaoge?
yaqin dilaun ki ye hijr dil pe bar nahin

qadam qadam pe nai Thokaren hain rahon mein
dayar-e-ishq mein koi bhi kaamgar nahin

yahi sukun meri be-kali na ban jae
ki zindagi mein koi wajh-e-intizar nahin

KHuda ke bare mein ek din zarur sochenge
abhi to KHud se talluq bhi ustuwar nahin

gila to mujh se wo karta hai is tarah 'jawwad'
ki jaise main to judai mein sogwar nahin