umid-e-wasl ne dhoke diye hain is qadar 'hasrat'
ki us kafir ki han bhi ab nahin malum hoti hai
Chiragh Hasan Hasrat
ummid to bandh jati taskin to ho jati
wada na wafa karte wada to kiya hota
Chiragh Hasan Hasrat
mujh ko auron se kuchh nahin hai kaam
tujh se har dam umid-wari hai
Faez Dehlvi
dil na-umid to nahin nakaam hi to hai
lambi hai gham ki sham magar sham hi to hai
Faiz Ahmad Faiz
tere wadon pe kahan tak mera dil fareb khae
koi aisa kar bahana meri aas TuT jae
Fana Nizami Kanpuri
kuchh kaTi himmat-e-sawal mein umr
kuchh umid-e-jawab mein guzri
Fani Badayuni
maujon ki siyasat se mayus na ho 'fani'
girdab ki har tah mein sahil nazar aata hai
Fani Badayuni