ichhaD ke tujh se mujhe hai umid milne ki
suna hai ruh ko aana hai phir badan ki taraf
Nazm tabaa-tabaa.ii
yahi hai zindagi kuchh KHwab chand ummiden
inhin khilaunon se tum bhi bahal sako to chalo
Nida Fazli
as ab to daman-e-dil chhoD do bekar ummido
bahut dukh sah liye main ne bahut din ji liya main ne
Sahir Ludhianvi
aarzu hasrat aur ummid shikayat aansu
ek tera zikr tha aur bich mein kya kya nikla
Sarwar Alam Raz
ab raat ki diwar ko Dhana hai zaruri
ye kaam magar mujh se akele nahin hoga
Shahryar
yun to har sham umidon mein guzar jati hai
aaj kuchh baat hai jo sham pe rona aaya
Every evening was, by hope, sustained
This evening's desperation makes me weep
Shakeel Badayuni