falak se mujh ko shikwa hai zamin se mujh ko shikwa hai
yaqin mano to KHud apne yaqin se mujh ko shikwa hai
Obaidur Rahman Azmi
aage mere na ghair se go tum ne baat ki
sarkar ki nazar ko to pahchanta hun main
though in my presence you did not converse with my foe
dearest, the aspect of your eye, I certainly do know
Qayem Chandpuri
han unhin logon se duniya mein shikayat hai hamein
han wahi log jo akasr hamein yaad aae hain
Rahi Masoom Raza
un ka gham un ka tasawwur un ke shikwe ab kahan
ab to ye baaten bhi ai dil ho gain aai gai
Sahir Ludhianvi
aarzu hasrat aur ummid shikayat aansu
ek tera zikr tha aur bich mein kya kya nikla
Sarwar Alam Raz
shikwa koi dariya ki rawani se nahin hai
rishta hi meri pyas ka pani se nahin hai
Shahryar
chala jata tha 'hatim' aaj kuchh wahi-tabahi sa
jo dekha hath mein us ke tere shikwe ka daftar tha
Shaikh Zahuruddin Hatim