shikwa apnon se kiya jata hai ghairon se nahin
aap kah den to kabhi aap se shikwa na karen
Khalish Kalkatvi
koi charag jalata nahin saliqe se
magar sabhi ko shikayat hawa se hoti hai
Khurshid Talab
mujhe tujh se shikayat bhi hai lekin ye bhi sach hai
tujhe ai zindagi main walihana chahta hun
Khushbir Singh Shaad
chup raho kyun mizaj puchhte ho
hum jien ya maren tumhein kya hai
Lala Madhav Ram Jauhar
meri hi jaan ke dushman hain nasihat wale
mujh ko samjhate hain un ko nahin samjhate hain
Lala Madhav Ram Jauhar
chahi thi dil ne tujh se wafa kam bahut hi kam
shayad isi liye hai gila kam bahut hi kam
Mahboob Khizan
hum gae the us se karte shikwa-e-dard-e-firaq
muskura kar us ko dekha sab gila jata raha
Mirza Mohammad Taqi Hawas