ishq mein shikwa kufr hai aur har iltija haram
toD de kasa-e-murad ishq gadagari nahin
Asar Rampuri
hamare ishq mein ruswa hue tum
magar hum to tamasha ho gae hain
Athar Nafees
wahi hikayat-e-dil thi wahi shikayat-e-dil
thi ek baat jahan se bhi ibtida karte
Aziz Lakhnavi
gila bhi tujh se bahut hai magar mohabbat bhi
wo baat apni jagah hai ye baat apni jagah
Basir Sultan Kazmi
ghairon se kaha tum ne ghairon se suna tum ne
kuchh hum se kaha hota kuchh hum se suna hota
Chiragh Hasan Hasrat
aDa maza ho jo mahshar mein hum karen shikwa
wo minnaton se kahen chup raho KHuda ke liye
Dagh Dehlvi
kahne deti nahin kuchh munh se mohabbat meri
lab pe rah jati hai aa aa ke shikayat meri
from voicing my emotions, love makes me refrain
grievances come to my lips but silent there remain
Dagh Dehlvi