dil ki taklif kam nahin karte
ab koi shikwa hum nahin karte
Jaun Eliya
hum ajab hain ki us ki bahon mein
shikwa-e-narasai karte hain
Jaun Eliya
kaise kahen ki tujh ko bhi hum se hai wasta koi
tu ne to hum se aaj tak koi gila nahin kiya
Jaun Eliya
hum gae the us se karne shikwa-e-dard-e-firaq
muskura kar us ne dekha sab gila jata raha
Josh Malihabadi
wo karen bhi to kin alfaz mein tera shikwa
jin ko teri nigah-e-lutf ne barbaad kiya
Josh Malihabadi
sunega kaun meri chaak-damani ka afsana
yahan sab apne apne pairahan ki baat karte hain
Kaleem Aajiz
dekhne wala koi mile to dil ke dagh dikhaun
ye nagri andhon ki nagri kis ko kya samjhaun
Khalilur Rahman Azmi