'ehsan' apna koi bure waqt ka nahin
ahbab bewafa hain KHuda be-niyaz hai
Ehsan Danish
aaj us se main ne shikwa kiya tha shararatan
kis ko KHabar thi itna bura man jaega
Fana Nizami Kanpuri
shikwa-e-hijr pe sar kaT ke farmate hain
phir karoge kabhi is munh se shikayat meri
Fani Badayuni
sune jate na the tum se mere din-raat ke shikwe
kafan sarkao meri be-zabani dekhte jao
Fani Badayuni
kitne shikwe gile hain pahle hi
rah mein fasle hain pahle hi
Farigh Bukhari
tum aziz aur tumhaara gham bhi aziz
kis se kis ka gila kare koi
Hadi Machlishahri
kis munh se karen un ke taghaful ki shikayat
KHud hum ko mohabbat ka sabaq yaad nahin hai
Hafeez Banarasi